Page 1 of 5 123 ... LastLast
Results 1 to 10 of 47

Thread: Shayari ... Enjoy

  1. #1
    PolicyWala Fan rohit's Avatar
    Join Date
    Feb 2009
    Location
    Bhopal
    Posts
    86

    Cool Shayari ... Enjoy

    Dard Hota Nahi Dikhane Ke Liye
    Har Koi Rota Nahi Ansoo Bahane Ke Liye
    Ruthneka Maja Hi Tab Aata Hai
    Jab Koi Apna Hota Hai Manane K Liye



    Vo Bhi Kya Din The....
    Vo Bhi Kya Din The,

    Jab Hame Iog Deewaano Ki Tarah Kiss Kiya Karte The.
    Par Hay Hamari Futi Kismat Ke,
    Us Waqt Ham 2 Saal Ke Hua Karte The


  2. #2
    PolicyWala Newbie
    Join Date
    Feb 2009
    Location
    India
    Posts
    40

    Default

    Main AAina tha toot ke bhi AAina raha
    Tum kya kahoge jab tumhe patthar kahenge log




    Abhi is taraf na nigaah kar main gazal ki palken sanwaar luun
    Mera lafz lafz ho aaina tujhe aaine men utaar luun

    Main tamaam din kaa thakaa hua tu tamaam shab kaa jaga hua
    Zara thahar jaa isi mod par tere saath shaam guzaar luun





    Merii tanhaai, merii khamoshiyon ke liye
    Tere chand lafzoon ki mithaas kaafi hai,
    Kahin mujh me ek adhurii-si khwahish bankar,
    Woh tere hone ka ehsaas kaafi hai...

  3. #3
    PolicyWala NewBie New Bee's Avatar
    Join Date
    Feb 2009
    Location
    Pune
    Posts
    22

    Default

    Dushmanon ki tarah us se ladate rahe
    Apni chaahat bhi kitni niraali rahi*

    Jab kabhi bhi tumhaara Khayaal aa gayaa
    Phir kai roz tak be-khayaali rahi



    Badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN
    Ke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN maiN*

    Tujhii pe Khatm hai jaanaaN mere zavaal kii raat
    Tu ab tulu bhii ho jaa, ke Dhal rahaa huuN maiN

    (TULU = RISE)
    ( ZAWAAL = SET)

  4. #4
    PolicyWala Fan rohit's Avatar
    Join Date
    Feb 2009
    Location
    Bhopal
    Posts
    86

    Default

    Dard se hath na milate to or kya karte,
    Gam ke aansoo na bahate to or kya karte.
    Usne maangi thi humse roshni ki dua,
    Hum khud ko na jalate to or kya karte.

    Bahut chaha usko jise hum pa na sake,
    Khayalo me kisi or ko le na sake.
    Usko dekh ke aansoo to ponch liye,
    Lekin kisi or ko dekh ke muskura na sake.

  5. #5
    PolicyWala Newbie
    Join Date
    Mar 2009
    Posts
    14

    Default

    Wo kisi ka ho hamare naam se mansoob hai*
    Uske bare me ye khushfahemi hai lekin khoob hai*
    Anginat cheron ko chaha baraha ye dil diya*
    Ham khuda kab the ki jiska ek hi mheboob hai

    (Mansoob = Only for Some one)
    (Khushfahemi = Mis understanding)



    GuloN me rang bhare baad-e-naw bahaar chale
    Chale bhi aao k gulshan ka kaarobaar chale

    Hua jo teer-e-nazar neem kash to kya hasil
    Maza to jab hai ki seene ke aar paar chale


    Baad-e-Naw Bhaar = Air Of new Bahaar
    Neem Kash = Half Enterd In Heart

  6. #6
    PolicyWala Newbie
    Join Date
    Mar 2009
    Location
    Nagpur
    Posts
    24

    Default

    Dharti ka gum chupane ke liye gagan hota hai
    Dil ka gham chupane ke liye badan hota hai
    Mar ke bhi chupane honge gham shaayad
    Isliye har laash pe kafan hota hai

  7. #7
    PolicyWala Newbie
    Join Date
    Mar 2009
    Posts
    27

    Default

    Baat khene ka saleeqa seekho
    Mashwere nek bhi khal jate hain

    Rone se nahi hasil kuch bhi dil-e-saudai
    Aankhon ki bhi barbadi jazbon ki bhi ruswai

    Ham aise samandar ke bichde guye sahil hain
    Is paar bhi tanhaai us paar bhi tanhai

  8. #8
    PolicyWala Newbie
    Join Date
    Mar 2009
    Location
    Mumbai
    Posts
    27

    Smile

    Main AAina tha toot ke bhi AAina raha
    Tum kya kahoge jab tumhe patthar kahenge log



    Mujhko ye soch hi kaafi hai jalane ke liye
    Main na hota to koi aur tumhara hota

  9. #9
    NewBie
    Join Date
    Mar 2009
    Location
    Bhopal
    Posts
    24

    Wink अच्छी सूरत पे ग़ज़ब टूट के आना दिल का

    अच्छी सूरत पे ग़ज़ब टूट के आना दिल का
    याद आता है हमें हाय! ज़माना दिल का

    तुम भी मुँह चूम लो बेसाख़ता प्यार आ जाए
    मैं सुनाऊँ जो कभी दिल से फ़साना दिल का

    पूरी मेंहदी भी लगानी नहीं आती अब तक
    क्योंकर आया तुझे ग़ैरों से लगाना दिल का

    इन हसीनों का लड़कपन ही रहे या अल्लाह
    होश आता है तो आता है सताना दिल का

    मेरी आग़ोश से क्या ही वो तड़प कर निकले
    उनका जाना था इलाही के ये जाना दिल का

    दे ख़ुदा और जगह सीना-ओ-पहलू के सिवा
    के बुरे वक़्त में होजाए ठिकाना दिल का

    उंगलियाँ तार-ए-गरीबाँ में उलझ जाती हैं
    सख़्त दुश्वार है हाथों से दबाना दिल का

    बेदिली का जो कहा हाल तो फ़रमाते हैं
    कर लिया तूने कहीं और ठिकाना दिल का

    छोड़ कर उसको तेरी बज़्म से क्योंकर जाऊँ
    एक जनाज़े का उठाना है उठाना दिल का

    निगहा-ए-यार ने की ख़ाना ख़राबी ऎसी
    न ठिकाना है जिगर का न ठिकाना दिल का

  10. #10
    PolicyWala Newbie
    Join Date
    Mar 2009
    Location
    India
    Posts
    21

    Default Unki Nazar

    Woh Dekhtey hain toh yoon hi dekhtey hain,
    Bahana kartey hain ke dekhtey hi nahin,
    Waise toh chup chup kar hum bhi unhe dekhtey hain,
    par wah kya andaaz hai un ke dekhney ka,
    Jab hum un ki taraf dekhtey hain toh woh jamin ki taraf dektey hain....


Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •