Shaikh karta hai masjid mai khuda ko sajde
Har sajde mai asar ho ye zaroori to nahi
Neend to dard ke bister mai bhi aa jaati hai
Unki aagosh mai sar ho ye zaroori to nahi
har shabegam ki sahar ho ye zaroori to nahi
Umr jalwo mai basar ho ye zaroori to nahi



Tumhe dil ke bade hi khas kone mein basaya hai
Mere dil se juda tum aashiyan kaise banaouge..

Tumhe ghera hai sanson se, Tumhe dhadkano se bandha hai
Daman bacha kar kis tarha dur jaouge..
Mera yeh dil, meri yeh jaan sab kuch tumhara hai...
Bhala is se bhi zyada tum kaha kuch aur paouge....